Rozo shab josh pe rehmat lyrics

 Rozo shab josh pe rehmat lyrics owais raza qadri:

Rozo shab Josh pe Rehmat ka hai darya tera

Sadqe is shan e Sakhawat pe ye mangta tera

Hath uthey bhi na they aur mil Gaya sadqa tera

waah Kiya jood o karam hai shah e batha tera

Nahi sunta hi nahi maangne wala tera.

Wo haqeeqat teri jibreel jise na jaane 

Kis tarah log bhala rutba tumahara jaane

Tod De likh ke khalam yon hi Jo likhna Jane

‘Farsh wale Teri shaokat ka uloo kiya Jane 

Khusruwa Arsh pe udta hai pharera tera.

Chandni raat main jaabir ka nazara dekhen

Chand ko wo kabhi sarkar ka chahra dekhen

Dekh ker  bolen Jamal e shah e wala dekhen

Tere khadmon main Jo hai gair ka Mon Kiya dekhen

Kon nazroon pe chadehe dekh ke talwa tera.

Na koi tujh sa Sakhi hai na koi mujh sa gareeb

Chashme bedar  jagade mere khabida Naseeb

Hai riza teri riza rab ki  tum itne ho qareeb

Main tu Malik hi kahon gaa ke ho Malik ke habeeb

Yaani maheboob mohib main nahi mera tera.

Teri khairaat ka Ek zarra kare hum ko nihal

Kis tarah jayen kisi aur ke der baher e suwal

Silsila apni ataon ka rakhna yohen bahal

Tere tokdon se pale gair ki thokar pe na daal

Jhid kiyan khaye kahan chood ke sadqa tera.

Ger gunahon ke sabab tumne diya dar se nikal

Is taswwor se hi hojayen tere banday nidhaal

Kon rakhe ga Teri taraha fakheeroon ka khayal

Tere tokdon se pale gair ki tokher pe nadal

Jhidkiyan khaye kahan chood ke sadqa tera.

Tujh Ko Bakhshi Tere Maa’bood Ne Azmat kitni

Bakhshi jaigi Tere sadqe main ummat jitni

Waa’n nazar aaigi kausar main hai kasrat kitni

*Ek main kiya? mere isyaan ki haqikhat kitni

Mujh se sau laakh kafi hai ishaara Tera.

Tu jo sahra main qadam Rakh de, phool khileen

aur jabal soone ke chaandi ke Tere saath chaleen

Tu jo chahe to subhi gam mere khushiyoon main dhaleen

*Tu jo chaahe to abhi mail mere Dll ke dhuleen

Ke khuda Dill nahi karta kabhi maila Tera.

Daulat e ishq se dil mera gani karde ke hai 

Gum rahoon tujh me meri khatam khudi karde ke hai 

Mujh gunahagaar pe rahmat ki jhadi karde ke hai 

Meri taqdeer buri ho tu bhali karde ke hai 

Mah o isbaat ke daftar pe kadoda tera. 

Hain jo bee zaar meri sarkar ! Unheen zarde ke hai 

Be tiyaan jin ki kunwaari hain unheen barde ke hai 

Chahat nahi jinko mayasar unhen ik ghar deke hai 

Meri taqdeer buri ho tu bhali kare de ke hai 

Mah o isbaat ke daftar pe kadoda tera. 

Kaaba e jaan ka mele hashar meen jab mujh ko gilaaf 

Saath maa baap hoon ahebaab hoon aur akhlaaf 

Is niyat pe yahi shoor tha chaho ayete raaf 

Choor Hakim se chupa karte hain yaan iske khilaf 

Tere daman me chupa choor anokha Tera.

Mere isa tere bimaar pe kaisi huzre 

Be nawa zaar pe laachar pe kaisi guzre 

Naza ke waqt gunahagaar pe kaisi guzre 

Door kiya jaaniye badkaar pe kaisi guzre

Teri hi der pe mare be kaso tanha tera. 

waah kiya shaan ba dhaai hai khuda ne teri

Awwaleen akhreen sub hamd karenge teri

Daude sub jaam ba kaf batne lage mai teri 

Tere sadqe mujhe ik boond bahut hai teri 

Jis din achchoon ko mele jaam chalakta tera.

Az pa-e-khaaliq-o-rahmaan-o-wali karde ke hai

Sadqa-e-faatima, hosain-o-Ali karde ke hai

Tu hai mukhtar , paye gaus e jali karde ke hai

*Meri taqdeer buri ho to bhali karde ke hai

Mahw o asbaat ke daftar pe kadoda tera.

Gar talab Hai ke bar ayen teri hajaat e jami

Kar ubeed apne Raza ki zara taqleed e waki

Pesh ker tu bhi yahi khawl e ba dargah e waqi

Teri sarkar main lata hai Raza usko shafi

Jo mera gause hai aur ladla beeta Tera.

Similar Posts